Computer Ya Laptop Me Delete Huyi Files Ko Kaise Wapis Laye

0

Dosto Aaj Is Post Mein Batane Jaa Raha Hun Ki Computer Ya Laptop Se Delete Huyi File Ko Kaise Wapas Laaya Jaata Hain. Dosto Kayi Baar Shift+Delete Karke Hum Apni Important File Ko Delete Kar Dete Hain. Jis Se Ki Wo Recycle Bin Nahi Jaata Hain. Aur Hamara File Hamesha Ke Liye Delete Ho Jaata Hain. Fir Hum Uss File Ko Restore Nahi Kar Sakte Hain. But Aaj Jo Tarika Main Batane Jaa Raha Hun Jis Ki Madad Se Aap Apne Computer Se Delete Huyi File Ko Wapas Recover Kar Sakte Hain. Computer Ya Laptop Me Delete Huyi Files Ko Kaise Wapis Laye ?

Read This: Computer Ke Folder Ko Hide Aur Unhide Kaise Karte Hai

Computer Ya Laptop Me Delete Huyi Files Ko Recover Kaise Kare

Sabse Pahle Aapko Ek Recuva Naam Ka Software Download Karna Hoga. Download Hone Ke Baad Ise Install Karle. Install Hone Ke Baad Software Ko Open Kare. Uske Baad Next Par Click Kare.

Computer Ya Laptop Me Delete Huyi Files Ko Kaise Wapis Laye 1

Next Par Click Karne Ke Baad Ab Aapke Samne File Type Aayega Ab Kaun Se Files Ko Wapas Ya Recover Lana Chahte. Us Par Tick Lga De Aur Next Par Click Kar De.

Computer Ya Laptop Me Delete Huyi Files Ko Kaise Wapis Laye 2

Ab File Location Aayega Agar Aako Pta Hai Ki Files Kahan Se Delete Hua Hai To Us Par Tick Lga De. Agar Aapko Nahi Pta Hai Ke File Kahan Se Delete Hua I’m not sure par Tick Lgakar Next Par Click Kar De.

Computer Ya Laptop Me Delete Huyi Files Ko Kaise Wapis Laye 3

Next Par Click Karte Hi Aapke Saamne Enable Deep Scan Ka Option Aayega. Enable Deep Scan Par Tick Naa Kar Ke Start Par Click Karke Dekhe. Aur Aapki Delete Huyi File Aise Recover Nahi Hoti Hai To Deep Scan Par Tick Kar ke Start Par Click Kare.

Computer Ya Laptop Me Delete Huyi Files Ko Kaise Wapis Laye 4

  1. Scan Pura Hone Ke Baad Delete Huyi File Ka List Aapke Samane Aa Jaayega. Aur Aap Jo Bhi File Wapas Computer Me Lana Chahte Hain. Us Par Tick Kar Ke Recover Par Click Kare.
  2. Recover Par Click Karne Ke Baad Aapko Location Select Karna Hain. Matlab Aap Apne File Ko Kon Si Disk Me Rakhna Chahte Hai.

Computer Ya Laptop Me Delete Huyi Files Ko Kaise Wapis Laye 5

Ab Aap Apne Computer Me Check Kar Sakte Hain. Aapka Delete Hua File Wapas Aa Gaya Hoga.