Computer Ke Folder Ka Color Kaise Change Kare

1

Aaj Ke Iss Article Me Jaanege Ki Hum Apne Computer Ya Laptop Ke Folder Ka Color Kaise Change Kare. Dosto Jaisa Ki Hum Log Jaante Ki Computer Ka Pure World Me Kitna Important Hai. Aaj Ke Time Computer Ka Uses Din Par Ti Din Badhta Hi Jaa Rha Hai. Aaj Ke Samay Me Hame Computer Ki Har Jagah Zaroorat Parti Chahe Wo Education, Bank, Entertainment Ho Ya Fir Online Shopping Ho Har Jagah Computer Ka Istemaal Ho Raha Hai. To aaj Hum Aapko Batayenge Ki  Aap Apne Computer Ke Folder Ka Color Kaise Change Kare. Windows Me Hamesha Alag Alag Features Aata Rehata Hai. Hamare Mind Me Kayi Baar Aise Question Aate Rehte Ki Kyu Naa Hum Aisa Kuchh Kare Jis Se Hamare Computer Ke Folder Rang Birangi Dikhe. Aise To Windows Ke Folder Ka Default Color Yellow Hota Hai. Kabhi Kabhi Hum Apne Computer Ke Folder Ka Ek Hi Color Dekh Kar Bor Ho Jaate Hai. To Aise Me Sochte Ki Hum Apne Computer Ke Folder Ka Color Change Kar Le Lekin Kaise Kare Wo Hame Pata Nahi Hota. To Aaiye Hum Aapko Batate Hai Ki Computer Ke Folder Ka Color Kaise Change Kiya Jaata Hai.

Computer Ke Folder Ka Color Kaise Change Kare f

Computer Ke Folder Ka Color Kaise Change Karte Hain

1. Sabse Pahle Rainbow Folder Naam Ke Software Ko Download Kar Install Kare.

Download Rainbow Folder

2. Start Me Jaaye Aur Rainbow Folder Ko Open Kare.

Computer Ke Folder Ka Color Kaise Change Kare

3. Ab Aapke Screeen Par Popup Window Show Hoga. Isse Use Karna Bahut Hi easy Hai.

4. Jis Folder Ka Color Change Karna Hai use Select Kare, Phir Right Side Me Style Par Click Kar Modern (Vista) Select Kare.

Computer Ke Folder Ka Color Kaise Change Kare 25. Uske Baad Color Select Kar Colorize Par Click Kare, Jaise Ki Aapne Purple Color Select Kiya hai To Uske Baad Colorize Par Click Karna Hai.

Computer Ke Folder Ka Color Kaise Change Kare 36. Rainbow  Software Se Aap Apne Pc Mein Jis Bhi Folder Ka Color Change Ka Select Kiya Hoga Ab Aap Dekh Sakte Hai Ki Aapke Folder Ka Color Change Ho Gya.

1 COMMENT

  1. Hello sir,agar apke pass folder ke color ko change karne ka koi tarika jo bina softaware ke ho bataye
    Yaani folder color ko bina software ke kaise change kare.

    Plz……..
    .sir

Comments are closed.