Blogger Par Template Ko Kaise Upload Karte Hai

3

Hello Friends Maine Pichle post me bataya tha ki Blogger par website ya blog kaise bnate hai. Blog ko khoobsurat banane ke liye template ki jarurat hoti hai. Internet pe bahut saare free templates or premium templates milte hai. hamare blog ka template Seo friendly hona chahiye jis se koi agar google me search kare to hamara blog google ke search me aaye. template mobile friendly bhi hona chahiye jis se mobile users ko problem nahi hona chahiye. template Download karne ke liye aap btemplates.com se kar sakte. Aap chahe toh google pe search karke free template download kar sakte hai. Blogger par template kaise upload kare ?

Blogger Par Template Ko Kaise Upload Karte Hai

Sabse pahle aap apne blogger account ko login kare. uske baad Template par click kare.Blogger Par Template Ko Kaise Upload Karte Hai1

Template Par Click Karne ke baad Backup / Restore par click kare.

Blogger Par Template Ko Kaise Upload Karte Hai2

Backup/Restore par click karne ke baad Ab Ek pop up khulegi.

Blogger Par Template Ko Kaise Upload Karte Hai3

  1. Download full template par click karke apna purana template download kar le. kuch dikkat aaye to aap phir se upload kar sakte hai.
  2. Choose File par click karke apne computer se nya template ki .XML format ko select kare.
  3. select karne ke baad Upload Button par click kare.

iske baad aapka template upload ho jayega. agar aapko koi dikkat aati hai to hame comment kar bataiye.

3 COMMENTS

Comments are closed.