Friends aur Family me kisi ko music, videos, photo share karna hai to online ki bajay offline mode ka istemal kijiye. Aise kai offline tools mauzud hai, jinki madad se bina internet data kharch kiye files share kiye ja sakte hai. Bina Internet Data Ke Files Ko kaise Transfer kare ?
Read This: बिना Phone Number के IMO Account कैसे बनाए
Shareit
files ko bina internet kisi bhi device par share karna ho to shareit ka upyog kare. is se aap photo, video, documents ko phone to phone, phone to computer aur computer to computer bhi asani se transfer kar sakte hai. file aur folder chahe kitna bhi bara kyon na ho. kuch hi second-minute se ise mobile se computer ya phir computer se mobile par transfer kiya ja sakta hai. iske liye wifi, keval aur internet data ki zarurat nahi hoti hai. bluetooth ki tulna me 200 guna jyada tezi se files ko transfer kiya ja sakta hai. mobile se computer par files transfer karni ho to pahle computer me shareit ko open kar Qr code ko mobile se scane kar le. scan hone ke baad dono device aapas me connect ho jayega. ab phone se computer aur computer se mobile par files bhej sakte hai. ye app android, ios, windows phone aur windows mac device ko support karta hai.
ShareCloud
Files Transfer ke liye ye bhi Accha App hai. isme bina internet ke data sharing ke alawa bluetooth, hotspot, email, whatsapp, dropbox, google drive aur facebook ke jariye bhi data sharing kar sakte hai. iski madad se kewal ek click ke jariye photo, music, video ko transfer kar sakte hai. photo, apps, music ka backup aap sd card aur dropbox par bhi kar sakte. isme social site par photo aur video share karne ka option diya gya hai. aap facebook, wechat, twitter, tumbler par files share kar sakte hai. isme multiple files share karne ka option bhi hai.
Xender
offline files sharing ke liye xender popular hai. yeh 30 alag alag language ko support karta hai. company ka kehna hai 100 million files daily share kiye jate hai. xender ke zariye kisi bhi format ki files, photo, video, music, apps ko Android, IOS, Windows, PC/ Mac par share kiya ja sakta hai. chaar device ko ek saath connect karke file transfer kar sakte hai. android phone se computer me data transfer karna chahte hai, to computer me Web.xender.com open kijiye. phir phone se Qr code scan karna hoga. Qr code scan hone ke baad aapas me connect ho jayenge. phir aap chahe to files ko mobile se computer ya computer se mobile par transfer kar sakte hai.
Zapya
isse bina internet photo, music, videos alag alag device par share kiye ja sakte hai. yeh ek free files sharing tool hai. ise use karna bhi asan hai. ek dusre phone se connect hone ke liye wifi tethering aur hotspot ka istemal hota hai. lekin is se mobile internet data kharch nahi hota hai. isme group connection feature bhi hai, jisme 5 groups ko connect kar sakte hai. purane phone se data backup lekar use naye phone me asani se transfer kar sakte hai. isme Qr code sharing aur multi language support hai. yeh Android, iOS, Windows XP/7/8/10, Mac OSX, Windows Phone 8.1 aur 10 ko support karta hai.
Bahut acchi jankari di hai aapne. Hum bina internet ke Android application ke jariye file ko secondo me ek phone se dusre phone par transfer kar sakte hai thanks for sharing.
Comments are closed.