Kisi Si Bhi Video Mein Dusri Audio Kaise Lagaye

2
Hum Batate Hain Ke Ki Kisi Bhi Video Ka Audio Kaise Change Kiya Jaata Hain. Video Mein Dusri Audio Kaise Lagaye ? 

Aaj Main Aapko Batane Jaa Rha Hun Ke Kisi Bhi Video Mein Apni Mann Pasand Ke Audio Ko Kaise Lagaya Jaata Hain. Aap Chahte Ho Ki Kisi Bhi Video Song Mein Aap Apni Pasand Ke Audio Ko Us Video Me Kaise Lagaya Jaaye To Ye Bahut Hi Asaan Tarika Hain. Aap Bahut Hi Asaani Se Kisi Bhi Video Ke Audio Badal Sakte Hain. Aaj Main Aapko Bataunga Ke Kisi Bhi Original Video Ke Audio Ko Hata kar Aap Apni Pasand Ke Audio Laga Sakte Hain. To Aaiye Hum Batate Hain Ke Ki Kisi Bhi Video Ka Audio Kaise Change Kiya Jaata Hain. Video Mein Dusri Audio Kaise Lagaye ?

Read This: Computer Ke Folder Ko Hide Aur Unhide Kaise Karte Hai

Sabse Phele Aap Ek Cute Video Audio Merger Naam Ka Software Download Kare. Download Hone Ke Baad Isse Install Kar Open Kare. Ab Aaapke Saamne Cute Video Audio Merger Naam Ka Software Open Hoga.

Kisi Si Bhi Video Mein Dusri Audio Kaise Lagaye

1. Software Open Hone Ke Baad Add Video Par Click Kar Aap Jis Bhi Video Ka Audio Change Karna Chahte Usse Choose Kar Le.

2. Uske baad Aap Add Audio Par Click Kar Us Video Me Jo Bhi Audio Lagana chahte Hain Usko Chune.

3. Uske Baad Output Video Size Par Click Kar Video Ki Size Ko Select Kare.

4. Fir Output Video Format Par Click Karke Aap ko 3gp, Mp4, Flv Jo Bhi Quality Me Video Ko Save Karna Chahte hain Us Format Ko Select kar Le.

5. Uske Baad Merge Par Click Kare Video Apne Aap Convert Hona Start Ho Jaayega.

Video Convert Pura Ho Jaayega To Apne Aap Folder Open Ho Jaayega. Ab Aap Dekh Sakte Hain Ki Aap Jis Video ka Audio Change Kiye Wo Pura Ho Gya. Aap Ko Aisa Karne Me koi Dikkat aati Hain To Aap Mujhe Comment Box Me Comment Kar ke Bata Sakte Hain.

2 COMMENTS

Comments are closed.